Tuesday, July 20, 2010

gunahgar devta

ek gunah, farishton ki basti main jo kiya
jeena dushwar ho gaya
dekhkar farishtoh ki berukhi
bharosa fanna ho gaya

jo pahucha hun abb gunahgaron ki basti
toh dil halka hai
shayad apni sacchai ka
gumman fanna ho gaya

abb samne hai sawal hazar
kaun hain farista? kaun gunahgar?
aur 'gunahgaron ke devta' ko kya ho gaya?
gunahgar devta ya devta gunahgar ho gaya?

khabar chappi hai akhbaar main aaj
'wafa, bewafa ho gaya'
ek gunahgar aaya tha farishton ki basti se
woh 'gunahgar devta' ho gaya

Friday, July 16, 2010

Dekh bhi rahe hain

aur darr bhi hain ki koi dekh na le

baimaan hain meri nazar bhi

paar darr hain koi nazar pakad na le

main badal gaya hun

lekin darr bhi hain ki koi samajh na le

tumahare paas hone ka kaisa yeh ehsaas hain

ki hain bhi aur darr bhi ki woh samajh na le

ek jado-jahad hain andar ki kya kare kya nahi

aur jo kiya hain kahin koi, samajh na le

“apne hi eham main gum the itna

ki khud ko hi dekha nihara tareef ki,

aur sunkar apne hi bol kayal itne ho gaye

sacchai paar rakha takiya pankha chalaya soo gaye”