Wednesday, October 06, 2010

dekha kai din baad 'kayal' jab unhe
toh kashmkash kya kahe kya nahi, kya kare kya nahi

aetbaar toh hain ki tum pehchaan logi
paar kashmkash, pehchaan main hun yaa nahi

kuch yaadein hoti hain sach, kuch sach yaad iss kadar
ki soch kar hain gumsum, kahi khawab toh nahi

apni kursi paar issi soch main the gumsum
ki khawab hi hoga, zindagi itni hasin toh nahi