Sunday, June 13, 2010

aaj maine ek dhoodh ka glass

bada sambhal ke rakha

usse Dhaka plate se

usse rakha door sabse

usse rakha bahut paas apne

sabse bachakar

inta sab kar

apne kaam main itna masroof hua main

ki usse bhool hi gaya

aur woh mere hathon hi gir gaya

shayad cheezon ko bachane ke liye

unhe yaad rakhna hi kafi hota hai

5 comments:

  1. wah ....sahi likha hai ...

    ReplyDelete
  2. par cheezon ko yaad rakhne ke liye unhe bachana padta hai

    ReplyDelete
  3. yaad rakhne ke liye bachana
    bachane yaad rakhne ke liye ...
    phir soch main daal diya...hehehe
    yeh toh wahi baat ho gayi
    " soch ke dayre se bahar nikalna
    ek naya dayara banane ke liye"
    thanjs tumne ek nayi gazal de di mujhe ....hehhe

    ReplyDelete
  4. kum umr me jeevan kee rah kee samjh prabhavit kar gayee..........
    shubhkamnae ujwal bhavishy ke liye............

    ReplyDelete