Suraj ki garmi se bhag rahi
Paani ki boond boond
Jab bhag bhag ke thak gayi
Toh katra katra jud bana badal
Jab badalon se bhar gaya asaman
Toh suraj ki garmi hi naa rahi
Aur aaj jab barse hain badal
Toh sab badal gaya hain
Abb garmi ki jagah sheetalta hain
Jo prani-prakruti main ghar kar rahi hain
Paani ke sahas ne sab kuch badal diya hain
Abb naa garmi hogi na tapan
Naa ghutan ka woh ehsaas
Hain toh sirf aas
mere charo aur aas paas
abb phul khilenge, haryli hogi
garmi se kuch mahine hi sahi
rahat hogi
lekin kab tak?
Shayad tab tak
Jab mujhe phir garmi ki zaroorat hogi
Prakrati-niyati ko samajhte huye bhi
Bhawon main yun beh jana
Kya hain, prakrati, niyati ya jeevan?
Filhaal toh shayad yeh ek prashana hain
Aur main jeevan main jeevan dhoondhta jeevan….
No comments:
Post a Comment