YAADEIN
"koi rahe na rahe, kya fark padta hai?
akele waqt bitana accha lagta hai....
sabke pass hoti hain kuch yaadein,
iss jaha main kaha koi tanah hota hai..........
kuch hare patte jhade, kya fark padta hai?
milkar bichdna accha lagta hai.................
judaa hokar bhi kahan koi ,
yaadon se judaa hota hai................
jeetein haare, kya fark padta hai?
sirf baazi lagana accha lagta hai....
kat gayi saari raat tumhe yaad karte...
khatam kaha yaadon ka silsila hota hai......
chahe naa chahe humme, kya fark padta hai?
ajnabiyon se baatein karna accha lagta hai......
har anjaan de jata hain kuch yaadein.............
yaadon main koi gair kaha hota hai.................
zindagi rahe na rahe, kya fark padta hain?
yaadon main khoye rehna accha lagta hain....
tum chahete ho ki mujhe yaad bhi na aao
kaha koi aisa bewafa hota hain............."
Thursday, September 21, 2006
Sunday, September 17, 2006
panne khali hain
isliye nahi ki alfaaz nahi hain....
issliye nahi ki tumme koi baat nahi hain
issliye nahi ki hum paas nahi hain
panne khali hain toh issliye
kyunki alfaaz toh magar unme woh kashish nahi hain
kyunki aisi koi baat hi nahi jo tumme nahi hain
hum door toh hain paar doori ka ehsaas nahi hain
dosti kuch-se aisi bhi hui
najhdikiyon main bhi doori rahi
main dhoondhta raha humdard
mulakat hamesha dard se hui
woh khuda bhi pathar ki murti main bas gaya hain
yeh zamana hi kuch aisa hain
aise hi zamane main
mulakat uss dewani se hui
woh deewani hain issliye nahi
issliye nahi ki khushi baat-ti hain
issliye nahi ki woh sach janti hain
issliye nahi ki aaj bhi woh maaf karna jaanti hain
woh deewani hain issliye
kyunki paraye gham main aansu bahati hain
kyunki sabko dil se apna manti hain
kyunki maaf karke bhi dil saaf rakhna janti hain
na chahe dil kabhi
toh na mila karo
paar jab bhi milla karo
"alvida" na kaha karo
isliye nahi ki alfaaz nahi hain....
issliye nahi ki tumme koi baat nahi hain
issliye nahi ki hum paas nahi hain
panne khali hain toh issliye
kyunki alfaaz toh magar unme woh kashish nahi hain
kyunki aisi koi baat hi nahi jo tumme nahi hain
hum door toh hain paar doori ka ehsaas nahi hain
dosti kuch-se aisi bhi hui
najhdikiyon main bhi doori rahi
main dhoondhta raha humdard
mulakat hamesha dard se hui
woh khuda bhi pathar ki murti main bas gaya hain
yeh zamana hi kuch aisa hain
aise hi zamane main
mulakat uss dewani se hui
woh deewani hain issliye nahi
issliye nahi ki khushi baat-ti hain
issliye nahi ki woh sach janti hain
issliye nahi ki aaj bhi woh maaf karna jaanti hain
woh deewani hain issliye
kyunki paraye gham main aansu bahati hain
kyunki sabko dil se apna manti hain
kyunki maaf karke bhi dil saaf rakhna janti hain
na chahe dil kabhi
toh na mila karo
paar jab bhi milla karo
"alvida" na kaha karo
Subscribe to:
Posts (Atom)