Tuesday, May 11, 2010

ek baar maine ek bacche se poocha
humayun-akbar main baap kaun hain
aur kaun hain beta...

usne pahele mujhe dekha, sarr khujaya aur ek min soch ke bola
akbar hain baap
aur humayun beta...

maine kaha , wah mere sher
tune toh itihaas hi badal diya
bete ko baap aur baap ko beta kar diya...

woh aankh michalte huye bola
main toh bas akbar janta hun
humatun toh paheli baar suna hain

uss bacche ke massom jawab ne lajawab kar diya hain
kaun kiska baap hain
jisne janam diya ya jisne pehchan......