Thursday, June 01, 2006

Footpath paar baithe bacchon se pyar kaun karta hain…..
Zindagi main hain dard, aetbaar kaun karta hain….
Woh bhi hain insaan ki hi paedaish ……..
Jante hain sab, aetbaar kaun karta hain…….

Marta hain toh akhbaar ki line…
Paida hota hain toh ek arab main ek naam hota hain
Aam insaan ka mool kya hota hain……
Woh rashan card par sirf naam hota hain

Pachas pratishat aarakshan, chalta hain
Naa bijali naa paani, chalta hain
Zinda hain hum kafi hain
Zindagi ho naa jeene ke layak, chalta hain

Maut hain khuli zindagi gumnaam hain
Sabke pass maujood maut ke saman hain……
Dhoondhta rehta hain har shaksh zindagi ko
Koi toh batao mere bhai, swaraj kaha hain…

No comments:

Post a Comment