Wednesday, May 28, 2008

Har koi jee raha hain apne armaan mujh main
Jaane kiski zindagi jee raha hun main

Aankh main bhi aansu hain apne nahi
Yeh kiske gammon paar roo raha hun main

Mujhe pata hain tum aaogi nahi kabhi
Phir bhi tera intezar kyu kar raha hun main

Mujhe pata hain ki bhram hain
Phir bhi kal main aaj dhundh raha hun main

Mujhe pata hain ‘kayal’
Phoolon ke khilne ke hote hain mausam

Kisi bina muasam ki barish ka
Intezar kar raha hun main

Pata hain ki tum woh nahi
Phir bhi tum main usko dhundh raha hun main

Milna na milna hain kismet ki baat
Ek koshish kar raha hun main

10 comments:

  1. actually initially i wrote only those two lines and then i built on them...
    so they are the most dil se nikali huyi lines...

    ReplyDelete
  2. It's really good.. the whole of it! But the dil se nikli hui lines are absolutely awesome.

    ReplyDelete
  3. Koshish peh he duniya kaayam hai dost!!
    Greaat going!!! :)

    ReplyDelete
  4. dhanyawad...
    i read this somewhere
    "woh mutmayin hain ki pathar pighal nahi sakta...
    aur main beqrar hun awaaz main ek asar ke liye..."

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  6. 'Kisi bina muasam ki barish ka
    Intezar kar raha hun main'

    Kya yaar..bahut khoob likhte ho tum!

    ReplyDelete
  7. shukriya...
    isse phir se likhunga kabhi...
    isme sudhar ki kafi gunjaish hain..
    feel free to suggest any improvements... :)

    ReplyDelete
  8. Improvements aur main :D :D
    Shayar to tum huun miaan!

    ReplyDelete