Sunday, June 13, 2010

Ek din raste paar ek kutte ka bacche

Roo raha tha bahut

Toh mera padosi usse ghar le aaya

Usse khilaya pilaya

Aur uske galle main ek patta pehnaya

Bandh diya hain ek rassi se usse

Abb woh roz raat ko roota hai

Mere padosi ki shikayat hai

Kutta usse soone nahi deta

Pata nahi insaan ne kutte ko bandha hai

Ya kutte ne insaan ko

Ek din main roota hai ek raat ko

Lekin abb dono dukhi hai

Kya isse hi pyar kehte hai…

1 comment: