Tuesday, June 08, 2010

main hun yaa nahi
hain sawal ya nahi
kya yehi hain sahi
main wahi jo nahi

tum the ya nahi
thi baat ya nahi
bas jung ek hi
ki jung ho ya nahi

main ladu ya nahi
kya dekhna sahi
hain sawal ya nahi
kya karu kya nahi

hoga kabhi ya nahi
khwaab haqiqat-e-zindagi
ho gayi phir baat wahi
abb kya kahe kya nahi

main hun ya nahi
kya sahi kya nahi
bas sawal ek hi
ho sawal ya nahi



2 comments: