Tuesday, July 20, 2010

gunahgar devta

ek gunah, farishton ki basti main jo kiya
jeena dushwar ho gaya
dekhkar farishtoh ki berukhi
bharosa fanna ho gaya

jo pahucha hun abb gunahgaron ki basti
toh dil halka hai
shayad apni sacchai ka
gumman fanna ho gaya

abb samne hai sawal hazar
kaun hain farista? kaun gunahgar?
aur 'gunahgaron ke devta' ko kya ho gaya?
gunahgar devta ya devta gunahgar ho gaya?

khabar chappi hai akhbaar main aaj
'wafa, bewafa ho gaya'
ek gunahgar aaya tha farishton ki basti se
woh 'gunahgar devta' ho gaya

1 comment:

  1. aaj kee duniya me farishte..........?
    we can count them on fingers.............par pooree bastee....... :)

    bahut bahut sunder abhivykti .

    ReplyDelete