Thursday, December 30, 2010

maa kehti thi bachpan main
bhay-sahas ke yudh main
jeet sada hoti hain sahas ki

jab thoda bada hua toh padha
toh padha ganit main
ki iski prayikta (probability) hoti hain adhi

jab thoda aur bada hua toh mahsus kiya
ki aisa hamesha hi ho jata hain
sahas jeet jata hain aur bhay haar jata hain

aaj bees saal baad yeh samjha hain
ki sahas asimit hain aur bhay simit
issliye hamesha jeet jata hain

jaane mahsus karne aur samajhne main
kitna waqt lag jata hain?
kabhi bees saal aur kabhi jeevan

No comments:

Post a Comment