Monday, May 19, 2008

‘Kayal’ ko maat batao duniya ki sacchai
Ki woh toh pagal hain

Usse maat batao sacchai jung ki
Ki who khud ghayal hain

Kehte hain shahar main dhamaka hua hain
woh kehta hain tooti kisi behan ki payal hain

Usse nahi dikhte signal paar ghumte bacche
woh kehta hain kisi ki life royal hain

Neta baimaan hain who manta hi nahi
Bad amli main doobi sabki smile hain

Dekho ‘kayal’ aaj bhi khadi main bapu hain zinda
teynaat har mulk ki sarhad par misile hain

Hummne kaha Bahut gandde ho kayal naha dho lo
woh kehta hain 'Dirty' hona hi aaj ka style hain

No comments:

Post a Comment