Saturday, February 26, 2011

barf ka gurur utra ja raha hain
uska pasina paani hua ja raha hain

hum kehte the jisse apna
woh jaise paas aake door jaa raha hain

dukh yeh nahi ki woh jaa raha hain
yeh ki apni yaadein bhi saath le ja raha hain

ek hi chehra tha duniya main humari
ab duniya ka ek chehra hua jaa raha hain

barf ka gurur abb utra jaa raha hain
uska pasina paani hua jaa raha hain

3 comments: